sham-e-gham ki sahar nahin hoti
ya hamin ko KHabar nahin hoti
hum ne sab dukh jahan ke dekhe hain
bekali is qadar nahin hoti
nala yun na-rasa nahin rahta
aah yun be-asar nahin hoti
chand hai kahkashan hai tare hain
koi shai nama-bar nahin hoti
ek jaan-soz o na-murad KHalish
is taraf hai udhar nahin hoti
dosto ishq hai KHata lekin
kya KHata darguzar nahin hoti
raat aa kar guzar bhi jati hai
ek hamari sahar nahin hoti
be-qarari sahi nahin jati
zindagi muKHtasar nahin hoti
ek din dekhne ko aa jate
ye hawas umr bhar nahin hoti
husn sab ko KHuda nahin deta
har kisi ki nazar nahin hoti
dil piyala nahin gadai ka
aashiqi dar-ba-dar nahin hoti
Ghazal
Sham-e-gham ki sahar nahin hoti
Ibn e Insha