sham-e-gham aur sitaron ke siwa
ji sake hum na sahaaron ke siwa
talKHi-e-aKHir-e-shab kaun sahe
hijr mein dard ke maron ke siwa
be-ruKHi bhi to baja hai lekin
phul kya chiz hain KHaron ke siwa
kis ko fursat hai ki ho sair-e-chaman
mah-ru shola-eazaron ke siwa
rang duniya mein kai aur bhi hain
bahki bahki si bahaaron ke siwa
jaane jannat mein bhi kya rakkha hai
aise hi shoKH nazaron ke siwa
zindagi sab ko sada deti hai
han magar arz-guzaron ke siwa
Ghazal
Sham-e-gham aur sitaron ke siwa
Abdul Majeed Bhatti