sham ajib sham thi jis mein koi ufaq na tha
phul bhi kaise phul the jin ko suKHan ka haq na tha
yar ajib yar tha jis ke hazar nam the
shahr ajib shahr tha jis mein koi tabaq na tha
hath mein sab ke jild thi jis ke ajib rang the
jis pe ajib nam the aur koi waraq na tha
jaise adam se aae hon log ajib tarah ke
jin ka lahu safed tha jin ka kaleja shaq na tha
jin ke ajib taur the jin mein koi kiran na thi
jin ke ajib dars the jin mein koi sabaq na tha
log kaTe hue idhar log paDe hue udhar
jin ko koi alam na tha jin ko koi qalaq na tha
jin ka jigar siya hua jin ka lahu bujha hua
jin ka rafu kiya hua chehra bahut adaq na tha
kaisa tilismi shahr tha jis ke tufail raat bhi
mere lahu mein gard thi aaina-e-shafaq na tha
Ghazal
Sham ajib sham thi jis mein koi ufaq na tha
Qamar Jameel