اردو हिंदी
Sham aankhon mein aankh pani mein | Shaahi Shayari
sham aankhon mein aankh pani mein

Ghazal

Sham aankhon mein aankh pani mein

Bashir Badr

;

sham aankhon mein aankh pani mein
aur pani sara-e-fani mein

jhilmilate hain kashtiyon mein diye
pul khaDe so rahe hain pani mein

KHak ho jaegi zamin ek din
aasmanon ki aasmani mein

wo hawa hai use kahan DhunDun
aag mein KHak mein ki pani mein

aa pahaDon ki tarah samne aa
in dinon main bhi hun rawani mein