sham aai sehn-e-jaan mein KHauf ka bistar laga
mujh ko apni ruh ki viraniyon se Dar laga
ek lamhe ki shararat thi ki har lamha mujhe
aap-apni samt se aata hua patthar laga
dhund si phaili hui thi aasman par dur tak
mauja-e-reg-e-rawan mujh ko tera paikar laga
KHana-e-dil ko sajaana bhi hai ek shauq-e-fuzul
kaun jhankega yahan ye aaine bahar laga
jagne walon ki basti se guzar jate hain KHwab
bhul thi kis ki magar ilzam raaton par laga
KHamushi ki chaar-diwari bhi shayad gir chuki
aaj jaane kya hua wo shaKHs bhi be-ghar laga
Ghazal
Sham aai sehn-e-jaan mein KHauf ka bistar laga
Shamim Hanafi

