shaeri jhuT sahi ishq fasana hi sahi
zinda rahne ke liye koi bahana hi sahi
KHak ki lauh pe likkha to gaya nam mera
asl maqsud tera mujh ko miTana hi sahi
KHwab-e-uryan to isi tarah tar-o-taza hai
han meri nind ka malbus purana hi sahi
ek uDte hue sayyare ke pichhe pichhe
koi imkan koi shauq rawana hi sahi
kya karen aankh agar us se siwa chahti hai
ye jahan-e-guzaran aaina-KHana hi sahi
dil ka farman sar-e-dast uTha rakhte hain
KHair kuchh roz ko takmil-e-zamana hi sahi

Ghazal
Shaeri jhuT sahi ishq fasana hi sahi
Sameena Raja