sawad-e-sham se Darta hua nazar aaya
farogh-e-mehr bhi marta hua nazar aaya
nasim-e-subh chali aur fishaar-e-rang-o-bu
kahin qarar na karta hua nazar aaya
zamin pe rakh uDi jab bhi KHema-gahon ki
ufuq pe KHun bikharta hua nazar aaya
har ek phul dikhai diya kaman-ba-dast
har ek KHar nikharta hua nazar aaya
na nind aai na koi sitara-e-kam-KHwab
bulandiyon se utarta hua nazar aaya
kabhi kabhi to meri jalwa-gah-e-hairat mein
KHud aaina bhi sanwarta hua nazar aaya
charagh bujhne lage aur meri aankhon ko
badan mein koi utarta hua nazar aaya

Ghazal
Sawad-e-sham se Darta hua nazar aaya
Bushra Zaidi