اردو हिंदी
Sauda-e-sajda sham-o-sahar mere sar mein hai | Shaahi Shayari
sauda-e-sajda sham-o-sahar mere sar mein hai

Ghazal

Sauda-e-sajda sham-o-sahar mere sar mein hai

Ranjoor Azimabadi

;

sauda-e-sajda sham-o-sahar mere sar mein hai
ai but kashish kuchh aisi tere sang-e-dar mein hai

main kab hun ye mera tan-e-be-jaan hazar mein hai
ruh-e-rawan-e-qalib-e-tan to safar mein hai

ye ek asar to adwiya-e-chaaragar mein hai
shiddat ab aur bhi mere dard-e-jigar mein hai

sauda-e-ishq zulf-e-siyah jis ke sar mein hai
kab mutlaq imtiyaz use nafa o zarar mein hai

kya aaega kisi but-e-shirin-dahan pe dil
kyun miTha miTha dard hamare jigar mein hai

chheDa mujhe ki nuh ka tufan bapa hua
ek bahr-e-ashk band meri chashm-e-tar mein hai

pahuncha kisi ko sadma ki hum loTne lage
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai

nok-e-mizha ka rahne laga dil mein phir KHayal
shiddat ki Tis phir mere zaKHm-e-jigar mein hai

sauda-e-zulf-e-yar mein hai dard-e-sar zarur
ek KHas lutf bhi magar is dard-e-sar mein hai

mera ye naKHl-e-dil bhi hai aazad misl-e-sarw
gul is shajar mein hai na samar is shajar mein hai

chahe to la-makan ki bhi le aae ye KHabar
ye zor taer-e-dil-e-be-baal-o-par mein hai

dushnam se bhi yar ki aati hai bu-e-lutf
kuchh shak nahin ki KHair nihan us ke shar mein hai

kuchh shak nahin ki qurb-e-qayamat ki hai dalil
ye fitna o fasad ki ab bahr o bar mein hai

ho us se mere dida-e-tar ka muqabla
'ranjur' is ki tab kahan abr-e-tar mein hai