sau rang hai kis rang se taswir banaun
mere to kai rup hain kis rup mein aaun
kyun aa ke har ek shaKHs mere zaKHm kurede
kyun main bhi har ek shaKHs ko haal apna sunaun
kyun log musir hain ki sunen meri kahani
ye haq mujhe hasil hai sunaun ki chhupaun
is bazm mein apna to shanasa nahin koi
kya karb hai tanhai ka main kis ko bataun
kuchh aur to hasil na hua KHwabon se mujh ko
bas ye hai ki yaadon ke dar-o-baam sajaun
be-qimat-o-be-maya isi KHak mein yaro
wo KHak bhi hogi jise aankhon se lagaun
kirnon ki rifaqat kabhi aae jo mayassar
ham-rah main un ke teri dahliz pe aaun
KHwabon ke ufuq par tera chehra ho hamesha
aur main usi chehre se nae KHwab sajaun
rah jaen kisi taur mere KHwab salamat
is ek dua ke liye ab hath uThaun
Ghazal
Sau rang hai kis rang se taswir banaun
Athar Nafees