sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai
ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar
le teri himmat ka charcha ghair ki mahfil mein hai
wae qismat panw ki ai zoaf kuchh chalti nahin
karwan apna abhi tak pahli hi manzil mein hai
rahraw-e-rah-e-mohabbat rah na jaana rah mein
lazzat-e-sahra-nawardi duri-e-manzil mein hai
shauq se rah-e-mohabbat ki musibat jhel le
ek KHushi ka raaz pinhan jada-e-manzil mein hai
aaj phir maqtal mein qatil kah raha hai bar bar
aaen wo shauq-e-shahadat jin ke jin ke dil mein hai
marne walo aao ab gardan kaTao shauq se
ye ghanimat waqt hai KHanjar kaf-e-qatil mein hai
mane-e-izhaar tum ko hai haya, hum ko adab
kuchh tumhaare dil ke andar kuchh hamare dil mein hai
mai-kada sunsan KHum ulTe paDe hain jam chur
sar-nigun baiTha hai saqi jo teri mahfil mein hai
waqt aane de dikha denge tujhe ai aasman
hum abhi se kyun bataen kya hamare dil mein hai
ab na agle walwale hain aur na wo arman ki bhiD
sirf miT jaane ki ek hasrat dil-e-'bismil' mein hai
Ghazal
Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Bismil Azimabadi