اردو हिंदी
Sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi | Shaahi Shayari
sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi

Ghazal

Sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi

Zafar Anwar

;

sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi
raqs-e-bismil bhi wahi shor-e-salasil bhi wahi

baat jab hai ki har ek phul ko yaksan samjho
sab ka aameza wahi aab wahi gil bhi wahi

Dub jata hai jahan Dubna hota hai jise
warna pairak ko dariya wahi sahil bhi wahi

dekhna chaho to zaKHmon ka charaghan har-samt
mahfil-e-ghair wahi anjuman-e-dil bhi wahi

kaise mumkin hai ki qatil hi masiha ho jae
us ki niyat bhi wahi dawa-e-baatil bhi wahi

tum samajhte nahin 'anwar' to KHata kis ki hai
rah hai roz-e-azal se wahi manzil bhi wahi