sar-e-arsh-e-barin hai zer-e-pa-e-pir-e-mai-KHana
kamal-e-auj par hai husn-e-alamgir-e-mai-KHana
farogh-e-baada se raushan hui taqdir-e-mai-KHana
ki hai har baada-kash raushan charagh-e-pir-e-mai-KHana
main diwana hun aur dair-o-haram se mujh ko wahshat hai
paDi rahne do mere panw mein zanjir-e-mai-KHana
tasawwur dil mein rahta hai kisi ki chashm-e-mai-gun ka
khinchi rahti hai aankhon mein mere taswir-e-mai-KHana
ziyarat ko chale hain shaiKH-o-zahid fi-amanillah
KHuda ki shan hai kuchh phir gai taqdir-e-mai-KHana
pari shishe mein aur saghar mein hai KHurshid-e-nurngin
wo hai tasKHir-e-mai-KHana ye hai tanwir-e-mai-KHana
jo pahuncha mai-kade mein chhoD kar dair-o-haram 'sahir'
jhuka sar zauq-e-masti mein zahe tasir-e-mai-KHana

Ghazal
Sar-e-arsh-e-barin hai zer-e-pa-e-pir-e-mai-KHana
Sahir dehlavi