sar-barahna bhari barsat mein ghar se nikle
hum bhi kis gardish-e-haalat mein ghar se nikle
din mein kis kis ko bataenge masafat ka sabab
bas yahi soch ke hum raat mein ghar se nikle
sar pe KHud apni salibon ko uThae hum log
ruh ka bojh liye zat mein ghar se nikle
kab baras jaen in aankhon ka bharosa hi nahin
kaun be-waqt ki barsat mein ghar se nikle
Dar gaya dekh ke main shahr-e-muhazzab ka chalan
kitne aaseb fasadat mein ghar se nikle
ain mumkin hai ki wo din mein numayan hi na ho
us sitare se kaho raat mein ghar se nikle
un ki fitrat mein taghaful bhi murkkab tha 'nafas'
hum hi nadan the jo jazbaat mein ghar se nikle

Ghazal
Sar-barahna bhari barsat mein ghar se nikle
Nafas Ambalvi