اردو हिंदी
Samundaron ke darmiyan sau gae | Shaahi Shayari
samundaron ke darmiyan sau gae

Ghazal

Samundaron ke darmiyan sau gae

Jamal Ehsani

;

samundaron ke darmiyan so gae
thake hue jahaz-ran so gae

daricha ek haule haule khul gaya
jab us gali ke sab makan so gae

sulagti dopahar mein sab dukan-dar
khuli hi chhoD kar dukan so gae

phir aaj ek sitara jagta raha
phir aaj sat aasman so gae

hawa chali khule samundaron ke bich
thakan se chur baadban so gae

sahar hui to regzar jag uTha
magar tamam sarban so gae

us aankh ki panah ab nahin nasib
palak palak wo saeban so gae

'jamal' aaKHir aisi aadaten bhi kya
ki ghar mein sham hi se aan so gae