samundar par aa baiThe magar kya
nae mulkon mein ban jate hain ghar kya
nae mulkon mein lagta hai naya sab
zamin kya aasman kya aur shajar kya
udhar ke log kya kya sochte hain
idhar baste hain KHwabon ke nagar kya
har ek raste pe chal kar sochte hain
ye rasta ja raha hai apne ghar kya
kabhi raste ye hum se puchhte hain
musafir ho rahe hain dar-ba-dar kya
kabhi socha hai miTTi ke alawa
hamein kahte hain ye diwar-o-dar kya
yahan apne bahut rahte hain lekin
kisi ko bhi kisi ki hai KHabar kya
kise fursat ki in baaton pe soche
mashinon ne kiya hai jaan par kya
mashinon ke ghanere jangalon mein
bhaTakti ruh kya us ka safar kya
yahan ke aadmi hain do ruKHe kyun
mohazzab ho gae hain jaanwar kya
adhure kaam chhoDe ja rahe hain
idhar ko aaenge bar-e-digar kya
ye kis ke ashk hain auj-e-falak tak
koi rota raha hai raat bhar kya
chaman mein har taraf aansu hain 'jawed'
teri haalat ki sab ko hai KHabar kya
Ghazal
Samundar par aa baiThe magar kya
Abdullah Javed