sambhla nahin dil tujh se bichhaD kar kai din tak
main aaina tha ban gaya patthar kai din tak
kya chiz thi hum rakh ke kahin bhul gae hain
wo chiz ki yaad aai na aksar kai din tak
ai shaKH-e-wafa phir wo parinda nahin lauTa
main ghar mein tha nikla nahin bahar kai din tak
wo bojh ki thi jis se mere sar ki bulandi
wo bojh gira uTh na saka sar kai din tak
hum ne bhi bahut us ko bhulane ki dua ki
hum ne bhi bahut dekha hai ro kar kai din tak
kahte hain ki aaina bhi dekha nahin us ne
sunte hain ki pahna nahin zewar kai din tak
hum tan ke soe the ki kyun aaega wo 'shaz'
deta raha dastak wo barabar kai din tak

Ghazal
Sambhla nahin dil tujhse bichhaD kar kai din tak
Shaz Tamkanat