اردو हिंदी
Sambhal na pae to taqsir-e-waqai bhi nahin | Shaahi Shayari
sambhal na pae to taqsir-e-waqai bhi nahin

Ghazal

Sambhal na pae to taqsir-e-waqai bhi nahin

Aziz Hamid Madni

;

sambhal na pae to taqsir-e-waqai bhi nahin
har ek pe sahal kuchh aadab-e-mai-kashi bhi nahin

idhar udhar se hadis-e-gham-e-jahan kah kar
teri hi baat ki aur teri baat ki bhi nahin

wafa-e-wada pe dil nukta-chin hai wo KHamosh
hadis-e-mehr-o-wafa aaj guftani bhi nahin

bikhar ke husn-e-jahan ka nizam kya hoga
ye barhami teri zulfon ki barhami bhi nahin

shikast-e-saghar-o-mina ko KHak rota main
giran abhi mere dil ki shikastagi bhi nahin

hazar shukr ki be-KHwab hai sahar ke liye
wo chashm-e-naz ki jo jagton mein thi bhi nahin

ye zindagi hi talawwun-mizaj hai ai dost
tamam tark-e-wafa teri be-ruKHi bhi nahin

talluqat-e-zamana ki ek kaDi ke siwa
kuchh aur ye tera paiman-e-dosti bhi nahin

karam ki wajah na thi be-sabab KHafa bhi hai wo
mizaj-e-husn se ye baat dur thi bhi nahin