samajhte kya hain in do chaar rangon ko udhar wale
tarang aai to manzar hi badal denge nazar wale
isi par KHush hain ki ek dusre ke sath rahte hain
abhi tanhai ka matlab nahin samjhe hain ghar wale
sitam ke war hain to kya qalam ke dhaar bhi to hain
guzara KHub kar lete hain izzat se hunar wale
koi surat nikalti hi nahin hai baat hone ki
wahan zoam-e-KHuda-wandi yahan jazbe bashar wale
mafailun ka paimana bahut hi tang hota hai
jabhi to sher hum kahte nahin hain dil jigar wale
gharon mein the to wusat dasht ki hum ko bulati thi
magar ab dasht mein aae to yaad aate hain ghar wale
jo mustaqbil se pur-ummid ho wo shaer-e-mutlaq
'shuja-KHawar' se apni fikr ki islah karwa le
Ghazal
Samajhte kya hain in do chaar rangon ko udhar wale
Shuja Khaavar