اردو हिंदी
Samajhta hun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata | Shaahi Shayari
samajhta hun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata

Ghazal

Samajhta hun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata

Akhtar Ansari

;

samajhta hun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata
taDapta hun magar auron ko taDpana nahin aata

ye jamuna ki hasin amwaj kyun argan bajati hain
mujhe gana nahin aata mujhe gana nahin aata

ye meri zist KHud ek mustaqil tufan hai 'aKHtar'
mujhe in gham ke tufanon se ghabrana nahin aata