samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin
jo hum se mil ke bichhaD jae wo hamara nahin
abhi se barf ulajhne lagi hai baalon se
abhi to qarz-e-mah-o-sal bhi utara nahin
bas ek sham use aawaz di thi hijr ki sham
phir us ke baad use umr bhar pukara nahin
hawa kuchh aisi chali hai ki tere wahshi ko
mizaj-pursi-e-baad-e-saba gawara nahin
samundaron ko bhi hairat hui ki Dubte waqt
kisi ko hum ne madad ke liye pukara nahin
wo hum nahin the to phir kaun tha sar-e-bazar
jo kah raha tha ki bikna hamein gawara nahin
hum ahl-e-dil hain mohabbat ki nisbaton ke amin
hamare pas zaminon ka goshwara nahin
Ghazal
Samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin
Iftikhar Arif