samaaton mein bahut dur ki sada le kar
bhaTak raha hun main ek KHwab ka pata le kar
tumhaari yaad baras jae to thakan kam ho
kahan kahan main phirun sar pe ab ghaTa le kar
tamam hijr ke maron sa shab ke dariya mein
main Dub jaun wahi chand ka ghaDa le kar
tumhaara KHwab bhi aae to nind puri ho
main so to jaunga nind aane ki dawa le kar
main KHud se dur nikalta gaya udhaDta hua
KHud apni zat se nikla hua sira le kar
tamam shahr ki tamir dhup ne ki hai
milegi chhanw bhi us ka hi aasra le kar
bacha hai mujh mein bas ek aaKHiri sharar 'atish'
koi to aae teri yaad ki hawa le kar
Ghazal
Samaaton mein bahut dur ki sada le kar
Swapnil Tiwari

