sama sakta nahin pahna-e-fitrat mein mera sauda
ghalat tha ai junun shayad tera andaza-e-sahra
KHudi se is tilism-e-rang-o-bu ko toD sakte hain
yahi tauhid thi jis ko na tu samjha na main samjha
nigah paida kar ai ghafil tajalli ain-e-fitrat hai
ki apni mauj se begana rah sakta nahin dariya
raqabat ilm o irfan mein ghalat-bini hai mimbar ki
ki wo hallaj ki suli ko samjha hai raqib apna
KHuda ke pak bandon ko hukumat mein ghulami mein
zirah koi agar mahfuz rakhti hai to istighna
na kar taqlid ai jibril mere jazb-o-masti ki
tan-asan arshiyon ko zikr o tasbih o tawaf aula
bahut dekhe hain main ne mashriq o maghrib ke mai-KHane
yahan saqi nahin paida wahan be-zauq hai sahba
na iran mein rahe baqi na turan mein rahe baqi
wo bande faqr tha jin ka halak-e-qaisar-o-kisra
yahi shaiKH-e-haram hai jo chura kar bech khata hai
galim-e-buzar o dalq-e-uwes o chadar-e-zahra
huzur-e-haq mein israfil ne meri shikayat ki
ye banda waqt se pahle qayamat kar na de barpa
nida aai ki aashob-e-qayamat se ye kya kam hai
' girafta chiniyan ehram o makki KHufta dar batha
labaalab shisha-e-tahzib-e-hazir hai mai-e-la se
magar saqi ke hathon mein nahin paimana-e-illa
daba rakkha hai is ko zaKHma-war ki tez-dasti ne
bahut niche suron mein hai abhi europe ka wawaila
isi dariya se uThti hai wo mauj-e-tund-e-jaulan bhi
nahangon ke nasheman jis se hote hain tah-o-baala
ghulami kya hai zauq-e-husn-o-zebai se mahrumi
jise zeba kahen aazad bande hai wahi zeba
bharosa kar nahin sakte ghulamon ki basirat par
ki duniya mein faqat mardan-e-hur ki aankh hai bina
wahi hai sahib-e-imroz jis ne apni himmat se
zamane ke samundar se nikala gauhar-e-farda
farangi shishagar ke fan se patthar ho gae pani
meri iksir ne shishe ko baKHshi saKHti-e-KHara
rahe hain aur hain firaun meri ghat mein ab tak
magar kya gham ki meri aastin mein hai yad-e-baiza
wo chingari KHas-o-KHashak se kis tarah dab jae
jise haq ne kiya ho nistan ke waste paida
mohabbat KHeshtan bini mohabbat KHeshtan dari
mohabbat aastan-e-qaisar-o-kisra se be-parwa
ajab kya gar mah o parwin mere naKHchir ho jaen
ki bar fitrak-e-sahib daulat-e-bastam sar-e-KHud ra
wo dana-e-subul KHatmur-rusul maula-e-kul jis ne
ghubar-e-rah ko baKHsha farogh-e-wadi-e-sina
nigah-e-ishq o masti mein wahi awwal wahi aaKHir
wahi quran wahi furqan wahi yasin wahi taha
'sanai' ke adab se main ne ghawwasi na ki warna
abhi is bahr mein baqi hain lakhon lulu-e-lala
Ghazal
Sama sakta nahin pahna-e-fitrat mein mera sauda
Allama Iqbal