saliqa ishq mein mera baDe kamal ka tha
ki iKHtiyar bhi dil par ajab misal ka tha
main apne naqsh banati thi jis mein bachpan se
wo aaina to kisi aur KHat-o-KHal ka tha
rafu main karti rahi pairahan ko aur idhar
guman use mere zaKHmon ke indimal ka tha
ye aur baat ki ab chashm-posh ho jae
kabhi to ilm use bhi hamare haal ka tha
mohabbaton mein main qail thi lab na khulne ki
jawab warna mere pas har sawal ka tha
daraKHt jaD se ukhaDne ke mausamon mein bhi
hawa ka pyar shajar se ajab kamal ka tha
kitab kis ki masafat ki likh rahi hai hawa
ye qarz us ki taraf kis ke mah o sal ka tha
Ghazal
Saliqa ishq mein mera baDe kamal ka tha
Shahida Hasan

