اردو हिंदी
Salib o dar ke qisse raqam hote hi rahte hain | Shaahi Shayari
salib o dar ke qisse raqam hote hi rahte hain

Ghazal

Salib o dar ke qisse raqam hote hi rahte hain

Aziz Hamid Madni

;

salib o dar ke qisse raqam hote hi rahte hain
qalam ki jumbihson par sar qalam hote hi rahte hain

ye shaKH-e-gul hai aain-e-numu se aap waqif hain
samajhti hai ki mausam ke sitam hote hi rahte hain

kabhi teri kabhi dast-e-junun ki baat chalti hai
ye afsane to zulf-e-KHam-ba-KHam hote hi rahte hain

tawajjoh un ki ab ai sakinan-e-shahr tum par hai
hum aison par bahut un ke karam hote hi rahte hain

tere band-e-qaba se rishta-e-anfas-e-dauran tak
kuchh uqde naKHunon ko bhi baham hote hi rahte hain

hujum-e-lala-o-nasrin ho ya lab-ha-e-shirin hon
meri mauj-e-nafas se taza-dam hote hi rahte hain

mera chaak-e-gireban chaak-e-dil se milne wala hai
magar ye hadse bhi besh o kam hote hi rahte hain