اردو हिंदी
Saki tuj zulf hai jiwan ke aaKHiz | Shaahi Shayari
saki tuj zulf hai jiwan ke aaKHiz

Ghazal

Saki tuj zulf hai jiwan ke aaKHiz

Quli Qutub Shah

;

saki tuj zulf hai jiwan ke aaKHiz
dasan tere ahen ratnan ke aaKHiz

teri nainan the panche hain mantar sab
tere nazan hain sab suthran ke aaKHiz

sahe tuj sis paranchal saheli
sahe sab aashiq-e-dar wan ke aaKHiz

teri putliyan bhalaiyan hain jagat kun
nayan do mast hain mastan ke aaKHiz

nakhan mere hain tuj joban ke mushtaq
adhar mere tere bosiyan ke aaKHiz

ali nanwan o kahiya yu ghazal 'qutub'
ali nanwan hain sab kaaman ke aaKHiz