saKHtiyan karta hun dil par ghair se ghafil hun main
hae kya achchhi kahi zalim hun main jahil hun main
main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairai na thi
jo numud-e-haq se miT jata hai wo baatil hun main
ilm ke dariya se nikle ghota-zan gauhar-ba-dast
wae mahrumi KHazaf chain lab sahil hun main
hai meri zillat hi kuchh meri sharafat ki dalil
jis ki ghaflat ko malak rote hain wo ghafil hun main
bazm-e-hasti apni aaraish pe tu nazan na ho
tu to ek taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main
DhunDhta phirta hun main 'iqbaal' apne-ap ko
aap hi goya musafir aap hi manzil hun main
Ghazal
SaKHtiyan karta hun dil par ghair se ghafil hun main
Allama Iqbal