saKHt mushkil mein kiya hijr ne aasan mujhe 
dusra ishq hua pahle ke dauran mujhe 
tere andar ki udasi ke mushabah hun main 
KHal-o-KHad se nahin aawaz se pahchan mujhe 
ajnabi shahr mein ek luqme ko tarsa hua main 
mezban jismon ne samjha nahin mehman mujhe 
ek hi shakl ke sab chehre the lekin phir bhi 
ek chehre ne to behad kiya hairan mujhe 
main mohabbat bhi mohabbat ke ewaz deta hun 
phir bhi ho jata hai is kaam mein nuqsan mujhe 
bhule-bisre kisi naghme ki si shadab aawaz 
raat kanon mein paDi kar gai sunsan mujhe 
jaane kab saunp dun miTTi ko ye miTTi ka qafas 
jaane kab dena paDe ruh ka tawan mujhe
        Ghazal
SaKHt mushkil mein kiya hijr ne aasan mujhe
Anjum Saleemi

