sail-e-girya ka sine se rishta bahut
yani hain is KHarabe mein dariya bahut
main ne us nam se sham rangin ki
main ne us ke hawale se socha bahut
dekhne ke liye sara aalam bhi kam
chahne ke liye ek chehra bahut
is se aage to bas KHwab hi KHwab the
main ne us ko mujhe us ne dekha bahut
main bhi uljha hun manzar ke nairang se
mere pairon se lipTi hai duniya bahut
raftagan ke qadam jaise aahu ka ram
jaane walon ko raston ne roka bahut
jang-ju marakon mein hue surKH-ru
bastiyan bain karti hain tanha bahut
Ghazal
Sail-e-girya ka sine se rishta bahut
Asad Badayuni