sahra sahra baat chali hai nagri nagri charcha hai
raat ke gham mein suraj sain baadal oDhe phirta hai
jhonka jhonka teri KHushbu mujh se lipaT kar guzri hai
reza reza teri KHatir main ne jism ganwaya hai
din-bhar baadal chham-chham barsa sham ko matla saf hua
tab ja kar ek qaus-e-quzah par tera paikar ubhra hai
tu ne jis ki jholi mein do phul bhi hans kar Dal diye
sari umr wo kaghaz par KHushbu ki lakiren khinchta hai
tum kyun tez nokile neze tan ke mujh par jhapTe ho
mera muqaddar tund bagulo yun bhi to bujh jaana hai
main ne apne gird bana li zaKHmon ki diwar nai
ek purana gham lekin rah rah kar mujh par hansta hai
jalte jalte main bujh jaun ya tu agni-rup mein aa
tera mera mel ho kaise main suraj tu saya hai
sab kohsar samundar sahra ghumen us ke gird 'rashid'
wo ek shaKHs jo duniya-bhar mein tanha tanha rahta hai
Ghazal
Sahra sahra baat chali hai nagri nagri charcha hai
Rasheed Qaisrani

