اردو हिंदी
Sahn-e-chaman mein har-su patthar | Shaahi Shayari
sahn-e-chaman mein har-su patthar

Ghazal

Sahn-e-chaman mein har-su patthar

Yazdani Jalandhari

;

sahn-e-chaman mein har-su patthar
phul to phul hai KHushbu patthar

aaj ek ek kiran pathrai
suraj tare jugnu patthar

pathrae pathrae chehre
aankhen patthar aansu patthar

meri jaanib har jaanib se
aae hain be-qabu patthar

rah-e-wafa par chalna mushkil
har-su kanTe har-su patthar

ahl-e-jafa se hath milate
ho gae mere bazu patthar

is mahaul mein gar jina hai
'yazdani' ho ja tu patthar