اردو हिंदी
Sahar ko khoj charaghon pe inhisar na kar | Shaahi Shayari
sahar ko khoj charaghon pe inhisar na kar

Ghazal

Sahar ko khoj charaghon pe inhisar na kar

Anjum Saleemi

;

sahar ko khoj charaghon pe inhisar na kar
hawa se dosti rakh us ka e'tibar na kar

yaqin kar o mohabbat yahi munasib hai
ziyaada din meri sohbat ko iKHtiyar na kar

ye koi rishta nahin hai faqat nadamat hai
tu mujh se umr mein kam hai so mujh se pyar na kar

mujhe pata hai ki barbaad ho chuka hun main
tu mera sog mana mujh ko sogwar na kar

hai kaun kaun mere sath is musibat mein
main apne sath nahin hun mujhe shumar na kar

main KHak KHud tujhe labbaik kahne walon mein
mujhe bulawa na de mera intizar na kar