sahar jo nikla main apne ghar se to dekha ek shoKH husn wala
jhalak wo mukhDe mein us sanam ke ki jaise suraj mein ho ujala
wo zulfen us ki siyah pur-KHam ki un ke bal aur shikan ko yaro
na pahunche sumbul na pahunche raihan na pahunche nagin na pahunche kala
adaen banki ajab tarah ki wo tirchhi chitwan bhi kuchh tamasha
bhanwen wo jaise khinchi kamanen palak sinan-kash nigah bhaala
wo aankhen mast aur gulabi us ki ki un ko dekhe to dekhte hi
mai-e-mohabbat ka us ki dil ko ho kya hi gahra nasha do-baala
labon pe surKHi wo pan ki kuchh ki lal bhi munfail ho jis se
wo aan hansne ki bhi phir aisi ki jis ka aalam hai kuchh nirala
wo jama-zebi wo dil-farebi wo saj-dhaj us ki wo qadd-e-zeba
ki dekh jis par fida hon dil se wo jin ko kahte hain sarw-e-baala
nigah laDai hai us ne jis dam jhaTak liya jhap to dil ko mere
ada ada ne idhar dabocha palak palak ne udhar uchhaala
jo le liya dil ko mere yaro to us ne li rah apne ghar ki
paDa taDapta main rah gaya wan zaban pe aah aur labon pe nala
bahut ye main ne to chaha puchhun main nam us ka wale wo gul-ru
na mujh se bola na ki ishaarat na di tasalli na kuchh sambhaala
pari-ruKH-e-man shakar-lab-e-man wa mai tu baz aa ba-pesh-e-chashmam
ba-yaad-e-sarw-e-tu be-qararam nihaal-e-ishqat shud-ast baala
fida-e-wajhak ashi-e-sharqan wa mau-e-nahran wa man firaqak
kasir-e-huzna mal-humume saqil-e-hijra wa kal-jibaala
tusa de milne nun dil hai be-kal ehi o gallan nit aakhada hai
sada le mainun de apne ghar wich nahin to itthe asa de nal aa
tumhaari aasa lagi hai nis din tumhaare darshan ko tarsen nainan
dulare sundar anuThe abran haTile mohan anokhe lala
chahan ke man ko jo chhannanun thi ai yar kaen lagai itni
bharaetin aa kar khabar lo mhan ki palak kaTara jo than ne ghaala
agan barat hai hiya mein more birah mein tere ai man-muhanwan
tore jo nainan ne moha mohko na jinun tinko bhawa wakhaala
jagat sabahha amat barahmukh aTak kahaswa maman karan kha
diwani keni tuman surijan na sudh ki gar par na budh ki jhaala
kabhi to hans kar shitab aa ja 'nazir' ki bhi taraf Tuk ai jaan
bana ke saj-dhaj phira ke daman laga ke Thokar hila ke baala

Ghazal
Sahar jo nikla main apne ghar se to dekha ek shoKH husn wala
Nazeer Akbarabadi