اردو हिंदी
Safar tawil sahi hasil-e-safar kya tha | Shaahi Shayari
safar tawil sahi hasil-e-safar kya tha

Ghazal

Safar tawil sahi hasil-e-safar kya tha

Aal-e-Ahmad Suroor

;

safar tawil sahi hasil-e-safar kya tha
hamare pas ba-juz daulat-e-nazar kya tha

labon se yun to baraste the pyar ke naghme
magar nigahon mein yaron ke neshtar kya tha

ye zulmaton ke parastar kya KHabar hote
meri nawa mein ba-juz muzhda-e-sahar kya tha

har ek abr mein hai ek lakir chandi ki
wagarna apni duaon mein bhi asar kya tha

hazar KHwab luTe KHwab dekhna na gaya
yahi tha apna muqaddar to phir mafar kya tha

ghurur andhere ka toDa usi se haar gaya
numud ek sharar ki thi ya bashar kya tha

koi KHalish jo muqaddar thi umr bhar na gai
ilaj aise marizon ka chaara-gar kya tha