اردو हिंदी
Safar mein faslon ke sath baadban kho diya | Shaahi Shayari
safar mein faslon ke sath baadban kho diya

Ghazal

Safar mein faslon ke sath baadban kho diya

Ayub Khawar

;

safar mein faslon ke sath baadban kho diya
utar ke paniyon mein hum ne aasaman kho diya

yahi ki in nafas-ghubar saaton ke darmiyan
hawa ne git rah-guzar ne sarban kho diya

ye kaun sawanon mein KHwab dekhta hai dhup ke
ye kis ne e'tibar-e-gham pas-e-guman kho diya

bas ek harf ka gudaz us pe qarz tha so wo
bichhaDte waqt KHamushi ke darmiyan kho diya

firaq manzilon ka ek ghubar tha ki jis ghaDi
charagh-e-shab ne aur dil ne mehman kho diya

ruton mein ek rut yahan shajar bhi kaTne ki thi
pata chala jab apne ghar ka pasban kho diya

bacha liya tha KHwab jo masafaton ki dhup se
wo abr-o-baad manzaron ke darmiyan kho diya

wo nind apne bachpane ki rah mein ujaD gai
us aankh ne bhi mojazon ka ek jahan kho diya