safar mein ab bhi aadatan sarab dekhta hun main
qarib-e-marg zindagi ke KHwab dekhta hun main
hawa ne harf-e-sada mere zehn se uDa liya
to ab har ek baat par kitab dekhta hun main
bahaar ki sawariyon ke ham-rikab kyun rahe
KHizan ka barg-o-bar par itab dekhta hun main
khaDa hun nok-e-KHar par guman-dar-guman par
khulega kab haqiqaton ka bab dekhta hun main
ajib us ki sarwari nai hai shan har ghaDi
banon mein shahr, shahr mein sarab dekhta hun main
nazar-fareb Dhang hain sitamgaron ke rang hain
nigah mein qahr hath mein gulab dekhta hun main
ghazal se chheD-chhaD ko gunah jaanta tha main
magar ab is gunah mein sawab dekhta hun main
'suhail' sham Dhal gai dukan apni baDh gai
zara si raushni hai aur hisab dekhta hun main
Ghazal
Safar mein ab bhi aadatan sarab dekhta hun main
Suhail Ahmed Zaidi

