safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna
qadam yaqin mein manzil guman mein rakhna
jo sath hai wahi ghar ka nasib hai lekin
jo kho gaya hai use bhi makan mein rakhna
jo dekhti hain nigahen wahi nahin sab kuchh
ye ehtiyat bhi apne bayan mein rakha
wo ek KHwab jo chehra kabhi nahin banta
bana ke chand use aasman mein rakhna
chamakte chand-sitaron ka kya bharosa hai
zamin ki dhul bhi apni uDan mein rakhna
Ghazal
Safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna
Nida Fazli