اردو हिंदी
Safar ki dhul ko chehre se saf karta raha | Shaahi Shayari
safar ki dhul ko chehre se saf karta raha

Ghazal

Safar ki dhul ko chehre se saf karta raha

Nadeem Bhabha

;

safar ki dhul ko chehre se saf karta raha
main us gali ka musalsal tawaf karta raha

ye meri aankh ki masjid hai panw dhyan se rakh
ki is mein KHwab koi etakaf karta raha

main KHud se pesh bhi aaya to intiha kar di
mujh aise shaKHs ko bhi wo muaf karta raha

aur ab khula ki wo kaba nahin tera ghar tha
tamam umr main jis ka tawaf karta raha

main lau main lau hun alaw main hun alaw 'nadim'
so har charagh mera e'tiraf karta raha