safar KHud-raftagi ka bhi ajab andaz tha
kahin par rah bhule the na ruk kar dam liya tha
zamin par gir rahe the chand tare jaldi jaldi
andhera ghar ki diwaron se uncha ho raha tha
chale chalte the rah-raw ek aawaz-e-aKHi par
junun tha ya fusun tha kuchh to tha jo ho raha tha
main us din teri aamad ka nazara sochti thi
wo din jab tere jaane ke liye rukna paDa tha
isi husn-e-talluq par waraq likhte gae lakh
kiran se ru-e-gul tak ek pal ka rabta tha
bahut din baad 'zehra' tu ne kuchh ghazlen to likkhin
na likhne ka kisi se kya koi wada kiya tha
Ghazal
Safar KHud-raftagi ka bhi ajab andaz tha
Zehra Nigaah