safar kaThin hi sahi kya ajab tha sath us ka
andheri raat mein mera diya tha hath us ka
kuchh aisi nind se jagi ki phir na soi wo aankh
jala kiya yunhi kajal tamam raat us ka
tamam shab wo sitaron se guftugu us ki
tamam shab wo samundar sa iltifat us ka
kabhi wo rabt ki aankhon mein jis tarah kajal
kabhi bichhaD ke wo milna ghazal-sifat us ka
dua ke hath hi jaise diya sambhaalte hain
mohabbaton mein wo uslub-e-ehtiyat us ka
main apne ghar ke andheron mein lauT aaya 'shauq'
pukarta hi raha mujh ko shahr-e-zat us ka
Ghazal
Safar kaThin hi sahi kya ajab tha sath us ka
Razi Akhtar Shauq

