sadiyon ki shab-e-gham ko sahar hum ne banaya
zarraat ko KHurshid o qamar hum ne banaya
taKHliq andheron se kiye hum ne ujale
har shab ko ek aiwan-e-sahar hum ne banaya
barfab ke sine mein kiya hum ne charaghan
har mauja-e-dariya ko sharar hum ne banaya
shabnam se nahin, rang diya dil ke lahu se
har KHar ko barg-e-gul-e-tar hum ne banaya
har KHar ke sine mein chaman hum ne khilae
har phul ko firdaus-e-nazar hum ne banaya
raftar ko khilte hue ghunchon ki sada di
har gam ko ek KHuld-e-nazar hum ne banaya
har ruKH se tere husn ki zau phuT rahi hai
kya zawiya-e-fikr-o-nazar hum ne banaya
ashkon ko shafaq-rang kiya KHun-e-jigar se
kya ghaza-e-ruKHsar-e-sahar hum ne banaya
Dhalte hain jahan baada-e-tajdid ke saghar
wo mai-kada-e-fikr-o-nazar hum ne banaya
Ghazal
Sadiyon ki shab-e-gham ko sahar humne banaya
Saghar Nizami