sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten
kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten
ye suKHan jo hum ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yaad ke
koi lamha subh-e-visal ka koi sham-e-hijr ki muddaten
jo tumhaari man len naseha to rahega daman-e-dil mein kya
na kisi adu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten
chalo aao tum ko dikhaen hum jo bacha hai maqtal-e-shahr mein
ye mazar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbaten
meri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane katib-e-waqt ne
kisi apne kal mein bhi bhul kar kahin likh rakhi hon masarraten
Ghazal
Sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten
Faiz Ahmad Faiz