sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka
ki khel KHatm hua kashtiyan Dubone ka
barahna-jism bagulon ka qatl hota raha
KHayal bhi nahin aaya kisi ko rone ka
sila koi nahin parchhaiyon ki puja ka
maal kuchh nahin KHwabon ki fasl bone ka
bichhaD ke tujh se mujhe ye guman hota hai
ki meri aankhen hain patthar ki jism sone ka
hujum dekhta hun jab to kanp uThta hun
agarche KHauf nahin ab kisi ke khone ka
gae the log to diwar-e-qahqaha ki taraf
magar ye shor musalsal hai kaisa rone ka
mere wajud pe nafrat ki gard jamti rahi
mila na waqt use aansuon se dhone ka
Ghazal
Sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka
Shahryar