sabhi andhere sameTe hue paDe rahna
charagh-e-rah-guzar is tarah bane rahna
ye KHwahishon ka samundar sarab jaisa hai
sabhi ka apne taaqub mein bhagte rahna
nai bahaar ki KHushiyan nasib hon lekin
nishaniyan gae mausam ki bhi rakhe rahna
udas chehre koi bhi nahin paDha karta
numaishon ki tarah aap bhi saje rahna
main itni bhiD mein ek rose kho bhi sakta hun
kasi jagah to mera nam bhi likhe rahna
ai zindagi mere dukh-sukh kahan ye chhoD aai
wo lamha lamha bikharna wo rat-jage rahna
'rais' kaun sa aaseb hai makanon mein
tamam shahr ye kahta hai jagte rahna

Ghazal
Sabhi andhere sameTe hue paDe rahna
Rais Siddiqui