sabab kya hai kabhi samjhi nahin main
ki TuTi to bahut bikhri nahin main
rakhi hai guftugu us se har ek pal
suKHan jis se kabhi rakhti nahin main
ye choT apne hi hathon se lagi hai
kisi ke war se zaKHmi nahin main
karun kyun yaad tere KHal-o-KHad ab
shikasta aaine chunti nahin main
ajab thi rahguzar bhi ham-rahi ki
qadam rakh kar kabhi palTi nahin main
jo pahunchi sahilon par tab khula hai
ki ab wo tishnagi rakhti nahin main
Ghazal
Sabab kya hai kabhi samjhi nahin main
Shahida Hasan

