saba-o-gul ko mah-o-najm ko diwana kiya
meri sarisht ne har rang ko nishana kiya
wahi bahaar jise tum bahaar kahte ho
suluk hum se bahut us ne baghiyana kiya
jahan bhi tez hawaon ne sath chhoD diya
ghubar-e-rah ne apna wahin Thikana kiya
hum aaKHir us ke KHad-o-KHal dekhte kaise
hamesha us ne qarib aane se bahana kiya
suKHanwari ki ijazat to dil ne de di thi
magar zaban ne izhaar-e-muddaa na kiya
sahar ki aankh se aansu Tapak na jaen 'naim'
ye soch kar na bayan raat ka fasana kiya

Ghazal
Saba-o-gul ko mah-o-najm ko diwana kiya
Naeem Akhtar