sab ne milae hath yahan tirgi ke sath
kitna baDa mazaq hua raushni ke sath
sharten lagai jati nahin dosti ke sath
kije mujhe qubul meri har kami ke sath
tera KHayal, teri talab teri aarzu
main umr bhar chala hun kisi raushni ke sath
duniya mere KHilaf khaDi kaise ho gai
meri to dushmani bhi nahin thi kisi ke sath
kis kaam ki rahi ye dikhawe ki zindagi
wade kiye kisi se guzari kisi ke sath
duniya ko bewafai ka ilzam kaun de
apni hi nibh saki na bahut din kisi ke sath
qatre wo kuchh bhi paen ye mumkin nahin 'wasim'
baDhna jo chahte hain samundar-kashi ke sath
Ghazal
Sab ne milae hath yahan tirgi ke sath
Waseem Barelvi