اردو हिंदी
Sab ne honTon se laga kar toD Dala hai mujhe | Shaahi Shayari
sab ne honTon se laga kar toD Dala hai mujhe

Ghazal

Sab ne honTon se laga kar toD Dala hai mujhe

Bharat Bhushan Pant

;

sab ne honTon se laga kar toD Dala hai mujhe
kuza-gar ne jaane kis miTTi se Dhaala hai mujhe

is tarah to aur manzar ki udasi baDh gai
main kahin KHud mein nihan tha kyun nikala hai mujhe

shaKH par rah kar kahan mumkin tha mera ye safar
ab hawa ne apne hathon mein sambhaala hai mujhe

kyun sajaana chahte ho apni palkon par mujhe
raegan sa KHwab hun aankhon ne Tala hai mujhe

ek zara si dhup ko le kar ye hangama hua
meri hi parchhaiyon ne raund Dala hai mujhe

jaane kitne chand tare raat ke jangal mein the
yaad lekin ek jugnu ka ujala hai mujhe

ek dhaDakte dil se main ne KHud ko patthar kar liya
ab buton ke sath hi bas rakhne wala hai mujhe

zindagi ne apna koi KHwab bunne ke liye
ek ek dhage ki surat khol Dala hai mujhe