sab log liye sang-e-malamat nikal aae
kis shahr mein hum ahl-e-mohabbat nikal aae
ab dil ki tamanna hai to ai kash yahi ho
aansu ki jagah aankh se hasrat nikal aae
har ghar ka diya gul na karo tum ki na jaane
kis baam se KHurshid-e-qayamat nikal aae
jo darpai-e-pindar hain un qatl-gahon se
jaan de ke bhi samjho ki salamat nikal aae
ai ham-nafaso kuchh to kaho ahd-e-sitam ki
ek harf se mumkin hai hikayat nikal aae
yaro mujhe maslub karo tum ki mere baad
shayad ki tumhaara qad-o-qamat nikal aae
Ghazal
Sab log liye sang-e-malamat nikal aae
Ahmad Faraz