saz-e-hasti ki sada ghaur se sun
kyun hai ye shor bapa ghaur se sun
din ke hangamon ko be-kar na jaan
shab ke pardon mein hai kya ghaur se sun
chaDhte suraj ki ada ko pahchan
Dubte din ki nida ghaur se sun
kyun Thahar jate hain dariya sar-e-sham
ruh ke tar hila ghaur se sun
yas ki chhanw mein sone wale
jag aur shor zara ghaur se sun
har-nafas dam-e-giraftari hai
nau-giraftar-e-bala ghaur se sun
dil taDap uThta hai kyun aaKHir-e-shab
do-ghaDi kan laga ghaur se sun
usi manzil mein hain sab hijr-o-visal
rah-raw-e-abla-pa ghaur se san
usi goshe mein hain sab dair-o-haram
dil sanam hai ki KHuda ghaur se sun
kaba sunsan hai kyun ai waiz
hath kanon se uTha ghaur se sun
maut aur zist ke asrar-e-rumuz
aamiri bazm mein aa ghaur se sun
kya guzarti hai kisi ke dil par
tu bhi ai jaan-e-wafa ghaur se san
kabhi fursat ho to ai subh-e-jamal
shab-gazidon ki dua ghaur se san
hai yahi saat-e-ijab-o-qubul
subh ki lau ko zara ghaur se sun
kuchh to kahti hain chaTak kar kaliyan
kya sunati hai saba ghaur se sun
barg-e-awara bhi ek mutrib hai
tair-e-naghma-sara ghaur se sun
rang minnat-kash-e-awaz nahin
kal bhi hai ek nawa ghaur se sun
KHamushi hasil-e-mausiqi hai
naghma hai naghma-numa ghaur se sun
aaina dekh ke hairan na ho
naghma-e-ab-e-safa ghaur se sun
ishq ko husn se KHali na samajh
nala-e-ahl-e-wafa ghaur se sun
dil se har-waqt koi kahta hai
main nahin tujh se juda ghaur se sun
har-qadam rah-e-talab mein 'nasir'
jaras-e-dil ki sada ghaur se sun

Ghazal
Saz-e-hasti ki sada ghaur se sun
Nasir Kazmi