saya tha mera aur mere shaidaiyon mein tha
ek anjuman sa wo meri tanhaiyon mein tha
chhanti thi shab ko chandni baadal ki oT se
paikar ka is ke aks sa parchhaiyon mein tha
koyal ki kuk bhi na jawab is ka ho saki
lahra tere gale ka jo shahnaiyon mein tha
jis dam meri imarat-e-dil shoala-posh thi
main ne suna ki wo bhi tamashaiyon mein tha
uTTha usi se zist ke ehsas ka KHamir
jo dard-e-dil ke zaKHm ki pahnaiyon mein tha
jab shahr mein fasad hua to amir-e-shahr
dekha gaya ki aap hi balwaion mein tha
behad hasin tha magar 'azar' mujhe to bas
yaad is qadar raha ki wo harjaiyon mein tha
Ghazal
Saya tha mera aur mere shaidaiyon mein tha
Rashid Aazar

